Bolti Patrian…………

kabhi waqt mile to ana
main aj b station ki usi nukar pe bthi hun
Jahan pe hum me gharonde bnaye the
Jahan pe hum ne kayi sapne sajaye th
jahan pe tumne kaha tha main laut aoga
tmhari ankho me nami utarne se pehle laut aoga

Per jante ho
bht kuch badal gya he

Amarat ka rang
Traino k ane jane ka mamool
Wo chaye wala jis ki chaye k sang
hum puri puri sham bitate the
wo kankar ab hata diye unho ne
jo khwabo ki rah pe chalte chalte
hum ik doje pe uchala kerte the
ankho me nami utarne ko ayi to

shaied main bhi bht badal gyi
per ander se aj bhi wesi hun
Jab ankho k sahilo pe nami utar ayi
to maine chashma laga lia
aur jab chehre pe traino k ane jane ka mamool raqam hua
to maine ik naya chera batoor khol saja lia
hath pe pehni woh ghari jo 2mhare jane ka her ghari ihsas dilati thi
us ki soyian rok di maine
aur bhi jo kuch badal sakti thi
badal dia maine

per ab tere ane ki khwahish ahista ahista dum torne lagi
main ne kabhi na socha tha k taluq toot jate hain
Log choot jate hain
k patrian kabhi bhi apas me nahin milti
k qismate footpathon pe nahin milti
ye qasme jhoot hoti hain
ye tasalian waqti hoti hain
2m ne hi to kaha tha k tum kabhi na jaoge
Mohabat hamesha zinda rehti hai
go kuch dorian hamesha sehti hai
per ye hamesha zinda rehti hai
aur bhi boht kuch kaha tha 2mne
shaied ye khirki jahan akhri dafa 2m ne mujhe apna kaha tha
tab se ab tak khul nahin payi

aur hatho pe faqt us dargah k dhago k aur kuch b nahin bacha
jo ikathe ja k hum ne manato se manga tha

kash 2m lautate to main dikhati 2mko
dekho main wohi mahwish hun
jis ki ankhe duniya ko khushi ki naveed deti thi
jis k chehre k tasur zindagi ki daleel dete the
aj wohi khud samne kashkol sajaye
tere ane ki bheek her kissi se mangti he

aur jo koi kissi janane wale se mera poche to
woh itna hi kehta tha
k usko kissi ki yad ne andar se mar dia
k use kissi ki ‘mohabat’ ne pathar bna dia

najane q december k akhri chand din
meri banjar zameen pe umeedo ka pani dene
au khwabo ki fasal bone jazbat q chale ate hain

aur main jan k b jan na payi
tofani hawaon me khirkian nae khola kerte
dil ka hal kabhi kissi pe na khola kerte
‘main 2m bin g na paongi’ nae bola kerte
Kissi ki zat k peeche wajood ko yun nae rola kerte
magar main to ajab jhali si larki hun
najane q ye sab kuch tum se keh rhi hun
shaied isi aas pe k 2m koi jawab do per
ye kese mumkin he q k
pathar kabhi khuda ne hua kerte
shaied main kabhi bhi khud ko
patrion jesa na bna payi
jin pe jo bhi guzar jaye
wo kissi se kuch nae bola kerti
ye jante hue b k wo kabhi apas me nae milegi
wo kissi se kuch nae bola kerti

Haider Miraj

(Image Courtesy : Mahwish Javed Khan)
The best facial expressions to describe december …… Dedicated each and every word to Last days of december jis me mun se dhouan isliye nikalta he k bahir ki khushki ayr thand ander judai ki jalti aag ko pani deti he aur phir wajood k jalne pe mun se dhouan nikalta he 🙂

December ki ik khushk dopehar me intezar ko bethi ik larki

Published by

Muhammad Haider Miraj

A person on the journey of self exploration & learning/development. Time and pain have been my teachers and mentor they made me believe that whatsoever happens, happens for the reason - its gives you learning and add value to yourself. Nature and Spirit helped me connecting within and connect the dots to enhance and and enrich the Faith. Aksr lafz insan ko khokhla bna dete hain jab insan kahe kuch aur .........kere kuch aur..... shaied main b khokhla hogya aur khud ki shanakht se bhagne wale kisi ko shanakht ne de skte. Shaied jo ap parhe wo ap ki zat ka ansar bhi hun q k hain to hum sab ik k hi jaye bus ab khaul mukhtalif pehn liye hain aur ye tehreerein khol walo k liye ne humare asal k liye hain. Duaon ka talib Haider Miraj

6 thoughts on “Bolti Patrian…………”

  1. beautiful haider !!!!

    im in love with the end, like totally !!!!
    “aur main jan k b jan na payi
    tofani hawaon me khirkian nae khola kerte
    dil ka hal kabhi kissi pe na khola kerte
    ‘main 2m bin g na paongi’ nae bola kerte
    Kissi ki zat k peeche wajood ko yun nae rola kerte
    magar main to ajab jhali si larki hun”

    i really wish i new this before 🙂 love this part !!!!!

    GOD bless !!! 🙂

  2. thats really amazing!..i really admire you!..m srsly in luv wid watever u hve written!..these thoughta are very similar to that of mine..but i dont have my answers yet..i have a long way to go..i dun hve any destiny, it feels lyk m walkng from a vry long tym widout ny companion or any hope of a shelter!

    1. 🙂
      Pohnch k v asi kithey ne pohnche sanu manzil manzil rowe
      Rab kere aina rahva ute koi haur na rahi howe
      and
      ‘beshak wo apne bando ko mayos ne kerta’

  3. aik usi se umeed hai!..us k bandey tou har guzurtey lamhey k saath badal jaatey hain…Wohi Zaat bharoosey k kaabil hai!

Leave a reply to khokhlelog Cancel reply