Safar- Ik ma ka khwab

Shaied august ki koi tarikh thi ik saneha mere darwaze pe dastak de rha tha ik ajeeb sa mukalma hua mera aur haider miraj ka, k Agar Khuda nakhwasta ye hogya to zindagi kese guzre gi, main kese g sakon ga, maine to shaied apne qadmo pe khara hona seekha hi ne magar us k do din bad wo saneha hogya maine shaied zindagi me jis se betahasha mohabat ki wo khamoshi se chali gayi aur phr ik naye safar ki ibteda hogyi ghar me buniyado k bad dhancho ko saharo ki sakht zarorat hotu he aur sahare lazmi ansar hote hain magar jab bap ki belos mohabat behn ka maon wala pyar aur ghar ki dewaro k sawal k hume jisne khara kia wo kaha he mujhe marne lage to aba se ijazat le k lahore chala gya q k shaied farar bht pehle se apni zat k hisa bna chuka tha khair walid sahib ki ankho k sawal bhaio ki expectations aur ma ka ik khwab pora kerne k liye koshisho ki ibteda aur phir Allah k karam se FAST-Islamabad me admission masiwae us ki rehmat k kuch b ne tha q k wo apne bando se 70 maon se ziada pyar kerta he.

Fast ka safar shaied meri zindagi badal dene wala safar tha safar me gira b bht aur utha b bht …. shaied mujhe ihsas hua k zindagi ‘F’ se kahin age hain insan ko har hamesha jeet sikhati he, logo k sath ikhtilafat k sath kese rha ja skta he ap apni har k bawajood apne upar khol kese charhate ho shaied Nov 7,2007 ko main us rang manj pe pehli bar bola aur phir us Allah k karam se us ne itna nawaza k insan uska kabhi bhi shukria ne ada ker skta ….. mere jesa shaks jis ki bat samjhne k liye insan 2 bar muskurata he aur jis k “R’ aur “L” me yaksar similarity pai jati he use usi Allah ne zuban ki wja se izzat di aur phir Tamasha jis ne shaied shaor, safar aur kam kerne ka tareeqa sikhaya logo ka ap pe yaqeen ap ko samjhana apko sikhana ik aql-e-wahid ki jaga ik qafile ki tarah chalna, girna, uthna aur phir safar ka hisa banana bht ahem sabq he zindagi ka ………. aj shaied wo safar khatam hogya ………….. Apna saman bandh k kamre ki ik nukar pe rkhte hue jab bister ki chadar tabdeel ki to mujhe ihsas hua k us kamre ki us nukar pe shaied maine apni jeet k anso apni ma se bante the, pehle F k bad fast chorne ka irada wahin kiya tha …. Khud se bhagne k liye peh dar peh mohabate wahin pe ki thi us ghari ki soi ki manind zindagi ka safar guzara tha wahan pare kai certificate jo fakt isliye ghar na laye jaskte k aba kahe ge tum siwae parhai k sab kerte ho 🙂 ……….. Kamre me para wo ik maiz jis pe masiwae mumtaz mufti zaviya javed ch aur raja gidh kabhi koi taleemi kitab na leski mujhse meri shanakht ne cheen ski shaied meri angrezi utni behter na ho aur main jab khud se farar hone k liye angrezi bolo b to lafz aise ajanbi lage k mu me hi atak gye q k wo zameen to urdu ki thi khair safar k ikhtitam pe jab khulasa nikla to wo kuch ye tha k
-Zindagi k parche k sab sawal lazim hai sab sawal mushkil hain
-Insan k is safar me koi kissi ka ne hota faqr waqti taluqat hain jab tamasha khatam hojaye to fankar akele hote hain aur shaied un k chehre pe charhe khol kissi ko andar ne jhankne dete
– Idare kabhi bhi tabdeel ne hote log tabdeel ker diye jate hain
– Insan is cheez ko bht jaldi seekh leta he k jo safar ki raftar chor de wo qabeele se kat jata he
-Logo ki mohabat shaied insano ki waqti sakoon to de de per Jab insan aur Allah k darmiyan log ajaye to wo kissi taraf ka b ne ho pata
-Duniya k sab se khokhle log wo hote hain jo dice k peche inquilab ki bate kere aur phr khudi uska tamaskhar bnaye
-Zindagi me logo ko wazahte mat do q k jinko zarorat hogi wo mange ge ne aur jinhe mangni hogi unhe khud miljayegi 🙂
-Shoq aur janoon me faraq hota he inteha tabah kerdeti he
-Ilm aur honesty zindagi k do asool hain aur is k bad sawal ye ne hota k kaun sahi kaun ghalat balke bat levels pe ajati hai
Khair hosle apni jaga hain bebasi apni jagha
——————————————————————————————————————————–
Mujhse 4 saal ik sawal bht shidat se kiya gya k main to notankio aur adab ka student main kahan FAST aur engineering me phas gya to main shaied kissi ko samjha ne paya k cancer se marte hue wajood ki sard ankho k khawab ahem hote hain per jab wo taluq me ma ho to wo hukm hota he ……………….. aur jab bap ye keh de k beta zindagi me her cheez ko seekhne k liye harna zarori hota he aur mujhe yaqeen he k tum is safar me kamiyab hoge to phir jazba aur himat ap k sath hoti he ………………… Late Mrs. Rubina Afzal I ahve fulfilled my promise I have tried not to hurt, offend aur cheat anyone as per ur teachings per agar kabhi aisa hua to main jhuk k mafi mang luga q k qabeele ka asool he jo pair jhukna na jane un pe phal ne ata 🙂

__________________________________________________________________________________________

her ik shaks jis ne is safar me mera sath dia ik lamhe ko mila ya jis se mera taluq faqt corridor ki ik muskurahat ka he agar ap log na hote to shaied zindagi mujhe wo sab na sikhati jo usne sikhaya q k smooth roards never make good drivers

I am sorry if I have offended any one ……..

Kitab-e-umar ka ik aur bab khatam hua
Shabab khatam hua azab khatam hua

_________________________________________________________________________________________
main ik din chala tha ghar baar chor k
bhande the kaiee khaab kuch aas jor k
meri maaN k the kuch ashk kuch baap ki khahish
is zaad-e-raah se main ne aagaz kia tha
main girta rha main uthta rha
thokar paree aur sambhalta rha
main ne dunia se seekha
main jeeta main hara
main chalta rha
waqt katta rha zeest ki raah mein
gulshane-dahar ka mausam
badalta rha
kakhae bhi lage bahe ashk bhi
main na hara suno
yunhi jeeta rha
sawalon ki andhee see boochar mein
baaton k zalim kaiee waar the
main ne sab sah lia
aur khud se kha yunhi chalte raho
aaj dekho to charo
bars beet gaye hain
aur dekho na amma
aaj ham jeet gaye hain

Dedicated to Haider Miraj

Wo log jinho n mujhe tameer kia

Faisal Fateh’s dedication
__________________________________________________________________________________________

haider miraj
2:05 am
May 26,2011

Published by

Muhammad Haider Miraj

A person on the journey of self exploration & learning/development. Time and pain have been my teachers and mentor they made me believe that whatsoever happens, happens for the reason - its gives you learning and add value to yourself. Nature and Spirit helped me connecting within and connect the dots to enhance and and enrich the Faith. Aksr lafz insan ko khokhla bna dete hain jab insan kahe kuch aur .........kere kuch aur..... shaied main b khokhla hogya aur khud ki shanakht se bhagne wale kisi ko shanakht ne de skte. Shaied jo ap parhe wo ap ki zat ka ansar bhi hun q k hain to hum sab ik k hi jaye bus ab khaul mukhtalif pehn liye hain aur ye tehreerein khol walo k liye ne humare asal k liye hain. Duaon ka talib Haider Miraj

4 thoughts on “Safar- Ik ma ka khwab”

  1. kamal hai,,,,
    Haider Ki Mairaj abhi aana baqi hai,, to han,, safar mein ik paraao zrur aaya hai,,per safar jaari hai…. jari rehna bhi chaheyye!! Yahan tak izzat o aabru barqarar rahi iske liey Mubarikbaad!! Aor RAB ka shukkar!!
    Mera yaqeen hai k RAB TAALA ne Haider k liey bri khubsurat Mairaj sjaa rakhi hai,,, bas kuch tag odo aor,, aor ,, kuch safar aor…
    ALLAH ki Amaan Mein…
    Dua-Go!!
    Sabih.

Leave a comment